Akhtar Jawad - Hussain-Tasveer-e-Ishq

Akhtar Jawad - Hussain-Tasveer-e-Ishq

Tasveer to thi kamil lekin, br Yeh rang na tha, br Yeh jan na thee, br Yeh shan na thee. br Yeh kiske lahu ne rang bhare, br Tasveer wohi shahkar bani, br Jo pheeki thi, br Berang bhi thi. br Yeh karb-o-bala men kaun aaya, br Keya shan hay is matwale ki, br Yeh jan hay ummat wale ki. br Is ret ke tapte maidan men, br Yeh rang anokhe laya hay. br Yeh Akbar hain, br Yeh Quasim hain, br Yeh Ibn-e-Hasan, br Yeh Asghar hain, br Yeh qous-o-qazah ke rang hain ya, br Phir noor ke rangeen dhare hain, br Yeh Ahmed ke ghar wale hain, br Quran ke natiq pare hain, br Nayab sahi, br Nadir bhi sahi, br Yeh rang bahut kamyab sahi, br Tasveer yun hi rah jaegi. br Koi pani lado thora sa, br Yeh rang bahut he peyase hain. br Asghar ko liye yeh kaun badha, br Woh teer chala, br Woh khoon ubla. br Kiskis ke lahoo se ishq ki is br Tasveer ko ranga jaye ga. br Quasim bhi gaye, br Akbar bhi gaye, br Asghar bhi gaye! br Ab koi nahin, br Ek hujjat hay, so rahne do.


User: PoemHunter.com

Views: 3

Uploaded: 2014-06-18

Duration: 01:00

Your Page Title