Akhtar Jawad - Medina (Urdu poem with translation)

Akhtar Jawad - Medina (Urdu poem with translation)

Jahan ja ke aana bahut hi geran hay, br Jahan mein jagah koi aisi kahan hay. br Ajab ek rahat si milti yehan hay, br Yehan zarra-e-ret bhi gulfishan hay. br Ana ka nahin koi nam-o-nishan hay, br Gada bhi yehan aa ke shah-e-jahan hay. br Yehin shauq ka bhi hua imtehan hay, br Yehin ishq bhi ho geya kamran hay. br Zamin mukhtalif aur juda aasman hay. br Yehan gosha gosha bhi jannat nishan hay. br Bata mere dil kho geya tu kahan hay, br Na teri khabar hay na mera nishan hay. br Yeh manzar hay kaisa yeh kaisa saman hay, br Na jane yeh mera ya unka beyan hay. br Meri chashm-e-nam aaj gauhar fishan hay, br Yeh tareek dil aaj to zaufishan hay br Yeh rauza bari dilnasheen dastan hay. br Yeh masjid nahin yeh to jannat makan hay. br Yehan aaj simta hua ek jahan hay, br Pata chal geya meri manzil kahan hay.


User: PoemHunter.com

Views: 1

Uploaded: 2014-10-29

Duration: 02:22

Your Page Title