Shefali Agarwal - Anmol Hai Har Ek Pal

By : PoemHunter.com

Published On: 2014-11-07

4 Views

01:59

'Har ek Pal, Jindagi Se badkar Har Vo Pal,
Anmol hai har pal, jo hai hamare pass.
us kisi ek pal mein kabhi sochta hai insan,
kya khoya kya paya usne,
kabhi peeche mudkar to kabhi age badkar dekhta hai insan.
jo sama gaya hai ateet mein,
bus usi mein uljhta jata hai insan,
jise sametna chata hai apne hatho se,
us ore pahla kadam badane se bhi darta hai insan.
uljha rahta hai apni hi man ki gahraiyo mein,
nahi dhundta to bus kushi har ek pal mein,
nahi janta, hoti hai jaruri ek muskurahat hi jene ke liye kafi,
chahe sab kuch simat jaye ateet mein,
bus ek muskurahat hi kafi hai ane vale pal ko sametne ke liye.
aur jo hai is vaqt is pal hamare pass,
sajao use, savaro use, sameto use,
mat jane do kisi ek pal ko bhi yu hi,
anmol hai ye sare pal, jo hote nahi har kisi ke pass.banta hai bhut muskil se, har kan se,
bus ek pal.
je lo use, bhar lo apni baho mein use,
muskura lo khul kar aj,
pata nahi kab bikhar jaye apna ek bhi pal.
to aao vada karo khud se aj,
jitna anmol hai hamara ek pal,
bana do aj isi ek pal se,
anmol kisi aur ka bhi pal.
yahi hai bus jindagi ka sabse bada sach,
sabse bada kushi ka pal! ! ! '

Shefali Agarwal

http://www.poemhunter.com/poem/anmol-hai-har-ek-pal/

Trending Videos - 30 May, 2024

RELATED VIDEOS

Recent Search - May 30, 2024