.Pd. is here - Hindi Poem: Sati Pratha

.Pd. is here - Hindi Poem: Sati Pratha

Yagn Ke Aag Ke Liye The Humne Phere Saat, br Khaaye Kasmein-Vaadaey Nibhaney Ke Saato Janam Saath br Saath Hai Aaj Bhi Magar Main Ho Gayi Hoon Barbaad br Suno Meri Apatti Bhari Kahaani, Ismey Hai Samaj Ka Hi Haath. br br Khushi Ki Lehar Ek Kinaare Par Ja Tooti br Tab Maut Ka Saaya Unn Par Mandaraya. br Vivaah Ke Chund Do Maheeno Baad br Maine Apne Ko Vidhwa Paya. br br Unke Maut Ne Mera Bhi Ant Laya, Kyonki br Chita Ki Ek Aag Mein Do Zindagiyaan Jali. br Woh Vida Huve Bhaagya Ki Badaulat, br Aur Main Ban Gayi Sati Pratha Ki Ek Murat. br br Parivaar Walon Ne Betey Ki Maut Ka Shok Manaya br Meri Maut Par Ek Aksh Bhi Na Bahaya, br Kaha Vidhwa Ki Pehcaahn Pati Ke Saath Ki Kho Jaati Hai br Pati Ki Chita Mein Kood Kar Khatmn Ho Jane Mein Hi Chaturai Hai. br br Kyunki Vidhwa Ko Yeh Duniya Wale Maante Hai Ek Bojh br Na Detay Hai Usse Mauka Karney Ka Apney Bhavishya Ki Khoj br Mera Hara Bhara Aangan Aaj Jal Kar Ho Gaya Raakh br Meri Mano Yeh Sati Pratha Samaja Par Hai Ek Daag. br br br (18 September 2006) br br PS - I might post the translation soon, but i don't think it'll have the same essense as this one. Apolgies to those who do not know hindi.br br .Pd.


User: PoemHunter.com

Views: 1

Uploaded: 2014-11-07

Duration: 01:46

Your Page Title