Daagh Dehlvi - Ghazal 13

Daagh Dehlvi - Ghazal 13

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha br na tha raqib to akhir vo nam kis ka tha br br br vo qatl kar ke har kisi se puchte hain br ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha br br br vafa karenge nibhayenge bat manenge br tumhen bhi yad hai kuch ye kalam kis ka tha br br br raha na dil main vo be-dard aur dard raha br muqim kaun hua hai maqam kis ka tha br br br na puch-pach thi kisi ki na av-bhagat br tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha br br br hamare khat ke to purze kiye parha bhi nahin br sun jo tum ne ba-dil vo payam kis ka tha br br br inhin sifat se hota hai admi mashhur br jo lutf ap hi karte to nam kis ka tha br br br guzar gaya vo zamana kahen to kis se kahen br khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha br br br har ek se kahte hain kya 'Dag' bevafa nikla br ye puche in se koi vo gulam kis ka thabr br Daagh Dehlvibr br


User: PoemHunter.com

Views: 7

Uploaded: 2014-11-10

Duration: 01:27