Daagh Dehlvi - Ghazal 5

Daagh Dehlvi - Ghazal 5

gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya br tamam rat qayamat ka intezar kiya br br br hansa hansa k shab-e-vasl ashk-bar kiya br tasalliyan mujhe de-de k beqarar kiya br br br ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata br magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya br br br fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi br kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya br br br ye kisne jalva hamare sar-e-mazar kiya br k dil se shor utha, hae! beqarar kiya br br br tarap phir ai dil-e-nadan, k gair kahte hain br akhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya br br br bhula bhula k jataya hai unko raz-e-nihan br chipa chipa k mohabbat ko ashkar kiya br br br tumhen to vada-e-didar ham se karna tha br ye kya kiya k jahan ko ummidavar kiya br br br ye dil ko tab kahan hai k ho malandesh br unhone vada kiya ham ne aitabar kiya br br br na puch dil ki haqiqat magar ye kahte hain br vo beqarar rahe jisne beqarar kiyabr br Daagh Dehlvibr br


User: PoemHunter.com

Views: 3

Uploaded: 2014-11-10

Duration: 01:26