Santosh Sharma - Kyoon Badli Hain Rahain

Santosh Sharma - Kyoon Badli Hain Rahain

Kyoon Badli Hain Rahain br br Original Hindi Transliteration br br Kyoon uthi hai a Bhishen Jawala Hinsa Ki br Kisne Vish Ghola Hai in ankurit Manno Main br Aakrosh Hai kisi Manviye Trasdi Ka br Ya ghrina hai kisi Samajik Aacharn Ki br Kahin Ye hath Vanchit hai, Manvanchhit Karm Se br Ya Gumrah kiya hai Jati or Dharm ke Shatano Nain br br Kyoon Uthaya hai Khanjar is abla Nari Ne br Kal jo Pratik Thi, Prem, sewa, tyaag or Tapsaya ki br Kyoon aaj isne apne Hath Range Hain Khoon Ki Holi Se. br Kahin n kahin to Shoshan or Atyachar ki seema todi hogi br Manavata ke sodagar or Jagirdaraon Nain br br Aaj ye Navyuvak kyoon khel rahain hain Barud orGolon se br Kyoon inko itni Muhbat hai Bandook ki Goli Se br Bachpan Bita Hoga Bin Mamta or Khilono Se br Ya Fir Krurta or Nirdayta Rahi Hogi Inke Sahibano Ki br br Manvata ko is Avishap se Bachana Hoga br Sabhya Shikshit or Samridh samaj ko age aana hoga br Manvata ko Manviye Mulaon se hi ucharna Hoga br Har Hath Ko, kam, prem, izatt or Samman Dena Hoga br Is sankramak ko phalnae se rokna hoga br br Nahin to kal manvata hi manvata ka avishap na ban jaye br Or inhin karano se kalyug ki aayu per antim parda naa pad jae br Phir Dharti Maan Naye yug main manav sarancha se br Pahale hazar bar sochae ya santust rah jaye br Vanspati jagat, amoeba or vanya praniyon se.


User: PoemHunter.com

Views: 3

Uploaded: 2014-11-10

Duration: 02:01

Your Page Title