Jis Simt Bhi Dekhoon Lagta Hai Ke Tum Ho by Ahmed Faraz

Jis Simt Bhi Dekhoon Lagta Hai Ke Tum Ho by Ahmed Faraz

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho br Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho br Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai br Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho br Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN br Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho br DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri br DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho br Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN br Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho br Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka br Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho br Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN br Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho br Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai br Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho br Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal br Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho br Ae jaan-e-‘Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi br Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho


User: Ali Memon

Views: 5

Uploaded: 2015-01-26

Duration: 01:41

Your Page Title