Yeh bil yaqeen Hussain (A.S) hai Lyrics: Abu Al-Asar Hafeez Jullundhri By Nusrat Fateh Ali Khan

Yeh bil yaqeen Hussain (A.S) hai Lyrics: Abu Al-Asar Hafeez Jullundhri By Nusrat Fateh Ali Khan

Yeh bil yaqeen Hussain (A.S) hai Lyrics: Abu Al-Asar Hafeez Jullundhri By Nusrat Fateh Ali Khan br br Libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua br tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua br yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai br ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua br br yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai, br Nabi(SAW) ka noorey ain hai br br ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se br kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se br ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par br uthi sadaa’e "alamaan", zabaan e sharq o gharb se br br yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai br ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai br udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai br ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai br br br aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai br zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai br magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan br kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai br br dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai br ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai br habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye br jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai br br udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai br udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai br magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai br ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai br br yeh bilyaqeen Hussain (A.S.


User: Muhammad Tayyab Raza

Views: 128

Uploaded: 2015-10-14

Duration: 10:30