Abrar Ul Haq - Beautifull Shayri - Ghat Raha Tha Fasla Qadam Qadam

Abrar Ul Haq - Beautifull Shayri - Ghat Raha Tha Fasla Qadam Qadam

Wo Intehai Ishq Thi , Ya Noor E Be-Hisaab Tha br Main Qaid O Band Se Azaad Us Sadi Main Tha br Wo Dor E Mustafa Tha Main Madina E Nabi Main Tha br br Aane Wale Dor Ka Hain Umati Gunahgaar br Hind Se Ye Hain Hazoor Hain Magar Sayaah Kaar br Muskra K Aapne Kaha Rokna Nahi br Umati Hain Wo Bhi Aane Wale Dor Ka br Te Huwa Asar K Baad Hogi Meri Haazri br Roh Ba Roh Nabi K Pass Hogi Meri Haazri br br Tasawur e Adalate Nabi Kiya To Darr Gaya br K Jaa K Kiya Kahu Ga Main To Soch K Hi Marr Gaya br br Sahabiye Rasool Ne Kaha K Beth Ja Yaha Mehfile Hazoor K Asool Seekh Le Zara br br Bethna Sikha Rahe The Wo K Is Tarah br Chal K Bhi Dikha Rahe The Wo K Is Tarah br br ye Bhi Keh Rahe The Khaam Kha Se Mu Na Kholna br Bol K Bata Rahe The K Is Tarah Se Bolna br br Wo Khush Naseeb Log The Jo dor E Mustafa Main The br Fiza Bhi Khush Naseeb Thi Zameen Bhi Kush Naseeb Thi br br Naya Naya Sa Khila Khila Sa Neela Asmaan Tha br Poorani Tarz Pe Bane Nae Nae Makaan The br br Kahi Gharo Main Oont The Kahi Gharo Main Bakriya br Pak Raha Tha Kuch Jaha Pe Jal Rahi Thi Lakriyaa br br Itne Main Azaan Hui To Rongte Khare Huwe br Dil K Jese Khul Gae Ho Taale Sab Pare Huwe br br Wo Asmaan Ka Raag Tha Wo Dawat E Bilal Thi br Mere Liye To Dawate Wisaaliye Jamaal Thi br br Dho Liya Nahaa K Maine Wuzu Bhi Bana Liya Nisbate Hazoor Maine Ood Bhi Laga Liya,Ghar Se Hum Nikal Pare Sahabiye Hazoor K br br Ja Rahe The sab Hi Simt Masjid e Hazoor K br Wo Dharkane Ajeeb Thi br Wo Kapkapi Kamaal Thi br K Aankh Ashk Baar Thi Sarap E Malaal Thi br br Rooh Thi K Deed Ki br Tarap Tarap br Tarap Tarap br br Dil Mera br Dharak Dharak br Dharak Dharak br br Har qadam Pe Ghat Raha Tha Faasla Hazoor Se br Har Qadam Pe Ghat Raha Tha Faasla Hazoor Se


User: R.Z.P ™

Views: 64

Uploaded: 2015-11-26

Duration: 02:31

Your Page Title