Tajdar Junaid - Yadon ki Pari feat. Junaid Ahmad

Tajdar Junaid - Yadon ki Pari feat. Junaid Ahmad

Yadon ki Pari is a song penned by Tajdars father, Junaid Ahmad, from his debut album What Colour Is Your Raindrop which is now available on iTunes - \rbrOKListen- \rbrAmazon - CDbaby - \rbr\rbrHear the ext. version of the song : \rbr\rbrFollow Tajdars music and concert updates on\rbr\rbrFacebook \rbr\rbrWords by Junaid Ahmad\rbrMusic composed & produced by Tajdar Junaid \rbrVideo memoir produced, directed, photographed & edited by Ankit Mehrotra\rbr\rbrSanso ke aangan mein, dard ki aahat se\rbrNeend jab toot-ti hai, ek safed chadar mein Yadon Ki Pari aati hai\rbrBahon mein phool hain aur chand kaliyan hain\rbrMaazi ki khirki hai, soch ki galiyan hain\rbrRet ki diwarein hain aur ek gharonda hai\rbrJism ke is chaukhat par \rbrMera naam likha hai\rbrEk hava si chalti hai, kaaley baadal chatey hain\rbrZakham pe paani rista hai aur joh toofan uth-ta hai\rbrNa to woh gharonda hai aur na woh diwaren hain\rbrJism ke is tootey pinjrey mein ek jhoola jhoolta hai\rbrRooh ki chirya badal mein Pari bun urr jaati hey\rbrAur sanso ke aangan mein, dard ki aahat se\rbrNeend jab toot-ti hey\rbrEk safed chadar mein \rbrYadon ki Pari aati hai\rbr\rbr\rbrChaman ke maali se kisi ney poocha hota\rbrGaram laavey ka sooraj aur too-ti chatri ka saaya\rbrUs maasoom paudhey par pasiney ki ek boondh\rbrEk umidh, ek aas liye\rbrJab woh paudhey ko seench-ta sawarn-ta \rbrUs phool ka khwaab dekhata hey\rbrToh uske sookhe chehre par\rbrMuskurahat ki papri dikhai deti hey\rbrKab yeh kaliyan phootengi\rbrBazaron mein bechunga\rbrAur do roti kharidunga\rbrSeeney ke pinjrey mein bundh bhooka parinda \rbrJo dharakta rehta hey\rbrUssey ek boondh bhi mil jayegi\rbrShayad bhookh bhi mit jayegi \rbrPhir fakir ki sada aati hey\rbrDin ka khwaab bara suhana hota hey\rbrDil ke behlaney ka bahana hota hey\rbr\rbrThis poem talks about an Angel of yesteryear memories comes for a visit to a parched soul. In the same way a gardener looks at his flowers with anticipation to sell them when it blossoms, to feed himself.


User: Kristenstebbings24

Views: 6

Uploaded: 2016-03-01

Duration: 05:40

Your Page Title