Kabhi Youn Bhi Aa Meri Aankh Main Ke Meri Nazar Ko (The Immortal Jagjit Singh) "Hope"

Kabhi Youn Bhi Aa Meri Aankh Main Ke Meri Nazar Ko (The Immortal Jagjit Singh) "Hope"

Kabhi youn bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na hobr Mujhe ek raat nawaaz de mager uske baad sehar na hobr br wo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa karebr Tujhe bhulane ki duaa karun to duaa mein meri asar na hobr br Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko chuum kebr Youn hi saath saath chalein sadaa kabhi khatm apna safar na hobr br Mere paas mere habib aa zara aur dil ke qareeb aabr Tujhe dhadkanon mein basaa lun main ke bichadne ka kabhi darr na hobr br (UN-SELECTED PART)br br Mere baazuon mein thaki thaki , abhi mahav-e-khwaab hai chadnibr Na uthe sitaron ki paalaki, abi aahaton ka guzar na hobr br wo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek dinbr wo gulab ban ke khilega kyaa, jo chirag ban ke jalaa na hobr br Kabhi dhoop de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se dono qubul hainbr Magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ki hawaa na hobr br Album: The Golden Momentsbr Lyrics: Bashir Badarbr Music: Jagjit Singh


User: Aziee4u

Views: 28

Uploaded: 2012-01-17

Duration: 07:23

Your Page Title